Thursday, January 7, 2010

2010 Commonwealth Games - in Dilli

Commonwealth ka samay hai aaya
Dher si khushiyan sang hai laaya..............

Khushi se sang aayi jimmedaari
Karni hai abhi dher taiyari

Stadium , pul aur sadak banana
Dilli ko hai abhi khoob sajana

Duniya bhar se log aayenge
Kaise kaise sapne layenge

Sapne unke sach banaye
Aao sarkaar ka haath bataye

2010 ka October mahina
Khiladiyo ka jam ke bahe paseena

Teer talwaar aur mukko ki baazi
Khabar banegi roz nayi aur taazi

Apne vir bhi maidan utrenge
Doosre khiladi ko aundha patkenge

Record tootenge roz nit naye poorane
Drishya dekhenge hum sab milke suhane

Bindra pe hongi sabhi nigahein
Ek baar fir wo itihaas dohrahe

Rathore bhi apna kuch kar dikhyega
Is baar wo awwal ayega

Saniya ka loha sab manege
Sabko hara sakti hai ye janenge

Arey ! shera ki to hum bhoole kahani
Wohi toh karega khelo ki agwani


Alag alag hai praant hamare. Alag alag hai apni bhaasha
Sab sanjoye hue hai ek hi sapna , sab lagaye hai ek hi aasha

Desh na naam roshan ho jaye ,
khelo ko hum itna safal banaye

athiti ka satkar kare hum aur kare sab yahi kamna
Hum bhi jeete wo bhi jeete , jeet jaye khelo ki bhawna

Wednesday, January 6, 2010

Dilli Ki Sardi.......

na hote thande bistar , na hoti garm razai , na koi shararat hi hoti
roz subah kaam pe jane ka dil jo nahi hota, aur jhoothmooth ki hararat na hoti
na nahate yu hum garm garm paani se itne itminaan se
na pahen ke nikalte ghar se topi muffler itni shaan se
na khate moongfali gajjak rewri itne armaan se
na hota naachna gana lohri pe yu dilo jaan se
ye zindagi ki khushiyan inhi chhoti chhoti bataon mein band hai
khush naseeb hai hum sab dilli wale ki apne yaha aaj itni thand hai